Sawal unki khushi ka
Rula ke usne mujhe hasne ko kaha,
Maine muskura diya sawal unki khushi ka tha
Maine wo khoya jo mera nahi tha,
usne wo khoya jo sirf usi ka tha...
Rula ke usne mujhe hasne ko kaha,
Maine muskura diya sawal unki khushi ka tha
Maine wo khoya jo mera nahi tha,
usne wo khoya jo sirf usi ka tha...
Rula ke mujhe chain to,
tune bhi ni paya hoga...
Dhoondti hogi meri parchaiyon ko,
raatoon ke ujale mein...
Apne dukhon ki kitab likhi thi maine,
Ab tu padhti hogi raat ki tanhaiyon mein...
Mera koi apna nahi tha tere bina,
Tu bhi dhoondti hogi mujhko,
yaadon ki rusbaiyon mein...
Zindagi ke imtihano ki to had ho gai
Pyar bhari zindagi kahan kho gai
Kaisi taqdeer likhi aye khuda tune
Khushi mere dar pe aake laut gai
Dooriyan itni mili ke ghabra ke reh gye
Jo the gair ab wo unke apne ho gye
Kaun si kami thi mere pyar mein
Jo wo mere apne hote hote reh gye...
Mohabbat ki aarzoo kuch is tarah ki thi,
Pyar mein uske humne ye jaan bhi di thi
Na apna sake hum use to bhula diya usne
Mohabbat hi aisi jhooti buniyad pe ki thi...