Anu Sandhu

1038
Total Status

Jab hum aapko yaad karte hai

Aksar jab hum aapko yaad karte hai
apne rab se yahi fariyaad karte hai
umar hamari bhi lag jaaye aapko
kyoki hum aap ko khud se zyada pyar karte hai…

Kya Pyaar ka izhaar zaruri hai

Unhe chahna hamari kamzori hai,
Unse keh nahi paana hamari majboori hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai…

Wo hamara imtihaan kya legi

Wo hamara imtihaan kya legi.
Milegi nazro se nazar to,
Apni nazre jhuka legi,
Use meri kabar par deeya jalane ko mat kehna,
Wo naadan hai dosto apna haath jala legi…

Ye raat itni tanha kyun hoti hai

Ye raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko shikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai ye kismat
Jise hum paa nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai…

Ek lamha aisa bhi aata hai

Kabhi ek lamha aisa bhi aata hai
Jisme beeta hua kal nazar aata hai
Bas yaaden reh jati hai yaad karna ke liye
Aur waqt sab kuch lekar guzar jata hai…