Naa tujh ko chor saktay hain tere ho bhi nahi saktay
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi saktay
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi saktay View Full
Dard bhi de gaye, sitam bhi de gaye,
Zakham ke sath-2 mujhe marham bhi de gaye,
Do lafzon se kar gaye wo apna mann halka,
Aur hamko naa rone ki kasam bhi de gaye...View Full
Waqt aansuo ko peena sikha deta hai,
Zakham hakiqat ko aaina dikha deta hai..
Jaane kyon log dard ko bura mante hain
Ye dard hi to hai jo logo ko jeena sikha deta hai...View Full
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.View Full
Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
Na jaane kis umeed pe Dil thehra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai.View Full
Wo jaante hain ki mujhse sabar nahi hoga,
vo mere dard se be-khabar to nahi hoga,
main do qadam jo chalun, Dil pukarta hai yahi,
ke uska saath na hua to ye safar nahi hoga...View Full
Yeh sach hai dosto kisi se pyaar na karna,
Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
Thaam ke khanjar apne hi hathon mein,
Bedardi se apne dil par vaar na karna.View Full
(image)
Dil ki khwahish ko naam kya dun,
pyar ka use paigam kya dun.
Is dil me dard nahi yaaden hai uski,
ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun…?View Full