Page - 144

Pyar Mein Sirf Bewafai Aur Daga

Dosti Ke Siwa Kuch Aur Paa Na Saka
Jab Kaha Us Se Ki Chahta Hu Use Dil-O-Jaan Se
Kaha Usne Ke Pyar- Mohabbat Mein Kuch Na Rakha
Kaha Use Ek Baar Kar Tu Aitbar
Usne Kaha Ke Pyar Vyar Sab Hai Bekar
Kehti Hai Pyar Mein Jisne Liya Apna Dil Laga
Mili Hai Unhe Sirf Bewafai Aur Daga

Logon Ki Khatir Muskurana Hoga

Ab Aansoonon Ko Aankhon Mein Sajana Hoga
Chirag Bujh Gaye, Khud Ko Jalana Hoga
Na Samajhna Ki Tumse Bichadke Khush Hain Hum
Hamein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga.....

Hamne manga tha saath unka

Hamne manga tha saath unka,
Woh judai ka gam de gaye!!..
Hum unki yadon ke sahare ji lete,
Par woh bhul jaane ki kasam de gaye!!….

Dard dil hi mein dabaye rakhe hain

Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhula dete,
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.

Pyar ko hamare samjh na sake

नासमझ तो वो ना थे इतना;
कि प्यार को हमारे समझ ना सके;
पेश किया दर्द-ए-दिल हमने नगमों में;
उसे वो सिर्फ शेर समझ बैठे!